Reliance Jio ki 5 Behtarin Bate

Reliance Jio se Judi Top 5 bate

Reliance jio ki wo 5 baate jo sayad hi aap jante hai
          Relliance jio ki top & most baten apko batane ja rahe hai is post me , kya hai reliance jio kab kaise aadi sawalo ke jawab bhi is post me mil jayenge aapko. Ye to sabhi jante hi hai ki jio 4g service provider hai , jo apne upbhoktao ko free 4g service dene me charcha ka vishay bana hua hai.To inki sabhi jankariya aiye kram se jante hai


1. free service




                          dosto free aisa sabd hai jo hamara dhyan apni or khinch leta hai. Aisa hi reliance jio me bhi hai jiski 4g free service ne apni or dhyan khinch le rakha hai . Iski 4g Free service 5 september se chalu ho Chuki hai aur 31december tak rahegi, jisme logo ko free 4g Internet service ke sath hi milega sabhi calls aur sms bhi free , lekin dosto ye pura sach nahi hai. Aap kewal 1 din me 4gb tak hi 4g speed me download kar payenge iske baad iski speed ghat ke 128 kbps ki ho jayegi.


2. Jio Suported Smartphone




                                                          Dosto aap abhi kuch hi Smartphone me 4g seva le sakate hai , jaise ki samsung, Intex Lava , Apple aur bhi jinme 4g ke feture hai.


3. Jio LYF Smartphone




                                           Jio device ki baat kare to kuch hi jio device hai. Mai inke bare me aapko batana chahunga ki jun 2015 ko jio ne gharelu compny intex ke sath tied up kiya tha iske baad 25 january 2016 ko isne apne LYF Smartphone ko Water 1 , Water 2, Earth 1,Flame 1, ki seriese me peskas ki. Jio ke in phone ki adhik jankari ke liye aap google par search karke jaan sakte hai.


4. Jio Apps




                         Jio ne hamare liye bahut sare aap bhi banaya hai. Isne 2016 ke may mahine me dher sare multimedia aap ko Google ke Play Store me launch kia. lekin in app ko upyog karne ke liye jio ki 4g Sim leni padegi. App Jio ke aap ki list dekh sakte hai.


             Jio Mags - Isase aap Ebook Read kar sakte hai.

           
              Jio Drive - Isase cloud storeg me aap apne khud ke document file store kar sakte hai.


             Jio Join - Yah VOLTE Simulator app hai, jiske dwara free phone call kiya ja sakta .

             My Jio - isme aap jio account ko manage kar sakte hai.
   

             Jio Money Wallet - Ise online payment karne ke liye use kar sakte hai.
 
           Jio Security - Iske naam se hi malum hota hai ki Ye App phone security ke liye hai.
   
 
               Jio Chat Massenger - Isase sms bhejne ka kam le sakte hai.

   
                Jio Cinema - Yah hd film ki library hai.
 
               Jio TV - Online TV Chainel dekhne ke liye.

                Jio Music - Music Player hai.
             

               Jio XpressNews - New aur magzine padh sakte hai.


5. Jio Ki Official Site




                                                           jio ke aaps ki Official site ka link niche diya hai . link pe jakar inse sambandhit bahut kuch jaan sakte hai.
Site - www.jio.com
              
Share on Google Plus

About Unknown

This is a short description in the author block about the author. You edit it by entering text in the "Biographical Info" field in the user admin panel.
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment